Tuesday, September 27, 2016

Tu kisise kam nahi...!!

Banda tu kisi se kam nahi, khud ko na daba,
Tujhme hai junoon, uss junoon se hamesha kar wafa,

Darna na kabhi koi ache kaam karne se pehle,
dil ki dariaa ko chule, sachche karm k orrr badhle,

Banda tu kisi se kam nahi, khud ko na daba,
Tujhme hai junoon, uss junoon se hamesha kar wafa,

Waqt bemisaal hain, uski raah na dekhna kabhi,
waqt beet jai toh niraash na hona kabhi,

Banda tu kisi se kam nahi, khud ko na daba,
Tujhme hai junoon, uss junoon se hamesha kar wafa,

Aazma iss zindagi ko, ye ek ajeeb si kasmakash hain,
Darna na iss zindagi se, kyunki ise jeena hain tujhe,